Tuesday, October 9, 2007

Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
har nakamyabi ka matlab haar nahi hota,
hum pa na sake unko to koi gum nahi,
sirf pane ka naam hi pyar nahi hota. ...

~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~

Dil ki aawaz ko izhaar kehte hain,
Jhuki nazaro ko ikraar kehte hain...
Sirf paane ka naam ishq nahi,
Kuch khone ko bhi pyar kehte hain...

~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~

Mohabbat ka imtihan aasan nahi.
Pyar sirf pane ka naam nahi.
Muddat bith jati hai kisi k intizaar me.
Yeh sirf ek pal do pal ka kaam nahi….

~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~

Chup rehne ka matlab inkar nahi hota,
na kamayabi ka matlab haar nahi hota,
kya hua jo hum pana sake usko,
sirf pane ka matlab pyar nahi hota

~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~

Kab unki palko s izhaar hoga,
Dill k kisi kone me hamare liye pyar hoga,
Guzarit hai Raat unki yaad me,
kabhi to unko bhi hamara intezar hoga.

~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~

Mohabbat ka sabak..khayalon mein padha karte rahe...
wo hum pe hum unpe marte rahe...
badi muddat se kabool hua ye parcha
chad chad ke unpar chada meri awaargi ka charcha...

~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~

Utar jaata ye nasha, gar peete hue socha hota..
woh kya kiska tha jo mera hota..
hame khwahish thi ye haal mera bhi hota...
kaash aisa nasha hame baar baar hota....

~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~

jugnu ko qaid kar muskuraya na karo,
roshni ki khatir kisi ka Dil jalaya na karo.
Dil pe sitam itne bhi mat karo.
Yaad nahi karte to yaad aaya bhi na karo

~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~

kuch din khushi k aur kuch ghum ki raat
yehi mazaaq hota rah meri zindagi k saath

dil meiN basa li guzray waqt ki har ek baat
zindagi guzray gi ab inhi saharooN k saath

khail tha yeh wohi poraana wohi ek baat
ek khush haar se tu ek khush jeet k saath

sun k hansi meri hairaaN hay us ki har raat
dekh na paye chupi siski meri hansi k saath

tha kabhi mere in haathooN meiN us ka haath
hogya hay rishta ab qalam ka is haath k saath

na aaye zindagi meiN koi marham bhara haath
k jeena sikh liya Amaan ne in zakhmoo k saath

~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~o~

No comments:

DesignWar art, design, photography, architecture, streetart, fashion, advertisement, cinema tv