Sunday, December 30, 2007

December'07


Khud ko jalana chahta hoon




Ajeeb Shakhs hoon Khudh ko jalana chahta hoon,
Mein khudh ko rakh kar kahe bhool jana chaht hoon,
Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milli mujhko,
Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahta hoon,
Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham hai mujhey,
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahta hoon,
Baha baha ke yeh ansoo bikhar chuka hoon bohaat,
simat ke zaat mein ab muskurana chahta hoon,
Jisey aik umer se Dil mein basa kai rakha hai,
Woh raaz aaj mein sab ko batana chahta hoon,
Wohi yaad hai jo acha kaha hai logo ne,
Baqaya sarey sitam bhool jana chahta hoon,
Mujhe zamaney nai pathar samjh liya hai magar,
Mein aik insan hoon sab ko batana chahta hoon,
Jo mujh se ruth chuky hain zamaney ki khushiyan,
To mein bhi khushyon se ab ruth jana chahta hoon,
Woh meri khwahishein woh mera khuwaab woh mera bacheni,
Umer rafta mein phir sai woh pana chahta hoon,
Koi to ho jo mujhe bhi lagaye seenay se,
Kisi ko mein bhi gham apna sunana chahta hoon

-Sashakt Kr. Srivastava




Breakup letter




Break-up letter

A soldier stationed in Afghanistan recently received a letter from his
girl friend back home. It read as follows:

Dear Ricky,
I can no longer continue our relationship. The distance between us is
just too great. I'm sorry. Please return the picture of me that I sent to
you.
Love, Becky

The soldier, with hurt feelings, asked his fellow soldiers for any
snapshots they could spare of their girlfriends, sisters or ex-girlfriends.
In addition to the picture of Becky, Ricky included all the other pictures
of the pretty gals he had collected from his buddies. There were 57 photos
in that envelope along with this note:

Dear Becky,
I'm so sorry, but I can't quite remember who the hell you are.
Please take your picture from the pile, and send the rest back to me.
Take Care,
Ricky

Moral of the story:
If you can't change your fate, change your attitude.




Ek baar jeene ke liye




Ek baar jeene ke liye sau baar mare hain hum

Ek muskurahat ke liye kitna siska yeh ghum

Yeh jeewan jalta bhi nahin

Kitna jalaya isne har dum

Ek lamha jo chup gaya aasmaan tale

Dhoondtey phir rahein hain bus umar bhar se hum

Meri khamoshiyaan ban gayi mere gunah

Har pal naya gunah karta raha yeh mann

Umeed ki yeh lau kyon nahin bhujhti

Tham gayi jab yeh saason ki sarghum

Kis taraf jaa raha hoon,kyon jaa raha hoon

Koi bata de mujhe kahan le jaayenge yeh kadam

Apni majbooriyon se naraaz hai yeh dil

Majbooriyon ke liye uthaye gaye zindagi tere sitam

Aasoon main bheega yeh mann yeh aanchal

Ik hansi ki chah main ab tak aankhein hain yeh num.




The real truth about love




There are two things in life more painful than death:
1. When your love doesnt loves you and tells you.
2. When your love loves you and doesnt tells you.




What love is???




A girl and guy were speeding over 100 mph on a motorcycle
Girl: Slow down. Im scared.
Guy: No this is fun.
Girl: No its not. Please, its too scary!
Guy: Then tell me you love me.
Girl: Fine, I love you. Slow down!
Guy: Now give me a BIG hug. (Girl hugs him)
Guy: Can you take my helmet off and put it on? Its bugging me.
In the paper the next day: A motorcycle had crashed into a building
because of break failure. Two people were on the motorcycle, but only one survived.
The truth was that halfway down the road, the guy realized that his breaks broke, but he didn't want to let the girl know. Instead, he had her say she loved him, felt her hug one last time, then had her wear his helmet so she would live even though it meant he would die.




Jawab de...




Mere Ek Sawal Hai Iska Jawab De
Hosake Tou Mere Is Ilteja Ka Jawab De
Tou Karta Hai Nafrat Ya Ke Pyar Mujhe Se
Meri Sirf Is Therir Ka Jawab De
Mein Na Phir Tujhe Chedongi Kabhi
Phir Na Kabhi Khaongi Ke Mujh Ko Jawab De
Barbad Hojaongi Teri Intezar Mein
Hosake To Meri Is Tehrir Ka Jawab De
Chali Jaongi Tere zindagi Se Phir Na Aongi
Is Liya Meri Jaan Phele Mujh Ko Jawab De
Hatjaongi Hamesha Tere Raaste Se
Agar Is Per Teri Khushi Hai Tou Mujh Ko Jawab De


BY - ZAIN SHAH




Dil me toofan tha




Dil me toofan tha
Aur man becchain tha
Unjaan ghatna se hum bekhabar the
Aarzoo thi unse baat karne ki
Kya hua yeh jaanne ki

Chhar roz gujharte jaise cchar yug beetein
Phir bhi humari aas nahin tutein
Unke waadein hur baar yaad aaye
Wah bewafa honge yeh dil nahin maane
Zindagi unke bina jiye nahin jaaye
Jhooth ka sahara ab liye nahin jaaye
Ek hi raasta nazar ab aaye
Eh maalik, teri duniya me ab dil nahin lage

Humari zindagi nahin humare haath me
Jo khuda cchahta hai wahi hota hai unt mke
Maut ke mukh se wapas hum laute
Usi zindagi me jo ab hai maut se bhi badtar

Kucch raaz khul gaye jab rahe maut ke darwaaze
Sacchai ko gale lagaya dil ko mazboot karke
Hum sab kasoor hodhe apne hi sar pe
Lekin unke daaman pe daag nahin lagaye

Shatranj ka khel khela gaya humse
Duniya ne jab kiya saamna unse
Aakar kucch aur hi bataya gaya humse
Aur unki bewafai phenki gayee mukh pe

Hum bahoot kamzor the dil ke halat se
Unki zubaan se sacch sunna cchahte the
Unke inkaar se tadap ke rah gaye
Ek baar phir jeewan se haar gaye

Unke sab nishaan ccheen liye gaye
Unki cchitthiyan le gayee jhor se
Aapne dostton ke saamne be-izzat kiye gaye
Pinjare me pancchi ki tarah
Phadfadate hi rah gaye

Humne haath jod aapna kasoor mana
Aur us kasoor ki mangi sazaa
"Aapne jeewan se phenk do humko
Aur kardo humko pariwar me badnaam"

Shayad humari sazaa yehi hai
Jisko aapni aatma arpan ki
Aapna humsafar aur humnawaz mana
Wah bhi hume kasoor war kahta hai

Humare jajhbaat ki koi bayan nahin
Humare pyar ki koi jhubaan nahin
Yeh dil hi sirf gawah hai
Yeh pyar kitna pavitra hai napaak nahin

Door hi se saath cchaha tha
Unke pyar ki cchaon cchahi thi
Gham ka pahad nahin cchaha tha
Khushiyon ki bahar hi cchahi thi


BY - ZAIN SHAH




People ask me do I have a girlfriend... This is what a girlfriend to me...




I think a girlfriend is one...
With whom one can think of spending his whole life.
The one with whome you don't realize the time passing.
The one with whome time passes very fast.
And without whome time seems to stop.
The one whose choice is always better then you for you.
And for whome you can give your life or take someones life.




Wish a birthday in Ankit's style...




Its a nice feeling when you know that someone likes you,
Someone thinks about you,
Someone needs you.
But it feels much better when you know that...
Someone never ever forgets your birthday.
HAPPY BIRTHDAY.

Kick off ur shoes,
Take a break.
Crank the tunes,
Dance & Shake.
Light the candles,
Cut the cake.
Make it a day,
That's simply Great.
HAPPY BIRTHDAY.

A prayer: To bless your way.
A wish: To lighten your moments.
A cheer: To perfect your day.
A text: To say HAPPY BIRTHDAY.

Flying papers,
Multi colours of balloon,
Delicated blossom,
Fantastic people,
Love and laughter.
What it describes?
HAPPY BIRTHDAY.

Smile is a curve that sets everything straight and wipes wrinkle away.
Hope you share a lots and receive a lots for days to come.
HAPPY BIRTHDAY.

In soft gleaming night of stars,
May all your dreams come true.
May every star of every night,
Bring love and joy to you.
HAPPY BIRTHDAY.

Wishing you a day soft as silk,
White as milk,
Sweet as honey
And full of money.
May all your dreams come true.
HAPPY BIRTH DAY to you.

Apun wishing you a wonderful,
Super duper,
Zabardast,
Extra bhadiya,
Extra special,
Ekdum mast and dhinchak.
Bole to ekdum jhakaas Janamdin mubarak ho.




Flirting Messages




Some say you are ugly.
Sone say you are jungley.
Some say you are pagli.
But I say...
You are lovely.

I can't help it.
It's not by choice.
My heart beats faster.
My knees get weak.
My stomach hurts.
And I can hardly breathe.
And every moment feels brand new.
Can't help it...
I'm crazy for you.

You are the angel who I cherish so dearly in this heart of mine.
The one who makes my day brighter, by making my whole world shine.

If I reach for your hand, will you hold it?
If I hold out my arms, will you hug me?
If I go for your lips, will you kiss me?
If I capture your heart, will you love me?

If care is wave I give you sea.
If respect is a leaf I give you tree.
If trust is a planet I give you galaxy.
If friendship is life I give you myself!

It's time for me to make a wish for U…
Wishing………
Wishing………
Done!
Do you know what I asked for?
I asked God to make you happy all day long.

Aap ek mobile ki tarah ho...
Khwaab mein aate ho SMS ki tarah...
Dil mein bas jaate ho ring tone ki tarah.
Mohabbat aapki hai network ki tarah...
Hum ko bhool na jaana balance ki tarah.

When the night comes...
Luk at the sky.
If you see a falling star...
Don't wonder why.
Just make a wish...
Trust me it will come true...
Coz I did it and I found you.

God created the world in six days...
But took him centuries to come up with someone as beautiful...
As you!

The moment I first saw you...
You warmed my heart.
The second time...
You made little flames.
And now...
You make my heart burn like hell!

A smile to put you on high...
A kiss to set your soul alright...
Would it be alright if I spent tonight being loved by you?

Flowers need sunshine,
Violets need dew,
All angels in heaven know I need you.
Years may fly,
Tears may dry,
But my love for you'will never die.

Humne chand se poocha teri chaandni ka raaz kya hai?
Chand ne aapki taraf ishaara kar ke kaha...
Inhi se poocho jise dekh kar main chamakta hoon.

As days go by...
My feelings get stronger.
To be in your arms...
I can't wait any longer.
Look into my eyes and you will see that it is true...
Day and night my thoughts are of you.

One who smokes has a smoky heart.
One who drinks has an alcoholic heart.
So dear you must stop eating sweets...
As you are already a sweetheart.

If I could be any part of you...
I’d be your tear.
To be conceived in your heart,
Born in your eyes,
Live on your cheeks,
And die on your lips.

Do you believe in love at first site???
...
...
...
...
...
Or do I have to walk by again?




Shayaris.. Toote huye dil ki awaaz...




Mohabbat mujhe thi unse itni,
Unki yaadon mein dil tadapta raha...
Maut bhi meri chaahat ko rok naa saki,
Kabr mein bhi dil dhadakta raha.

Dil ke dard ko lafzon mein dhaala naa gaya,
Gam ke aansuon ko aankhon se nikaala naa gaya...
Usne mujhe dard is liye diya,
Kyunki usse mera pyaar sambhala naa gaya.

Jisne humko chaaha, use hum chaah naa sake,
Jisko chaaha, use hum paa naa sake...
Yeh samajh lo dil tootna khel hain,
Kisi ka todkar apnaa bhi bacha naa sake.

Ishq karne wale aankhon ki baat samajh lete hain,
Sapno mein woh mil jaye to mulakaat samajh lete hain...
Rotaa to aasmaan bhi hain pyaar ke liye,
Par log use barsaat samajh lete hain.

Woh keh gaye humse ki woh ab hume sapno mein hi milne aayenge...
Koi jaa kar keh de unhe...
Woh aane ka waada to kare,
Hum hamesha ke liye so jayenge.

Nasha hum karte hain, ilzaam sharaab ko diya jaata hain...
Par ismein kasoor sharaab ka nahin...
Kasoor to unkaa hain jinkaa chehraa humein har jaam mein nazar aata hain.

Jiyo itnaa ki marnaa mushkil ho jaye,
Hason itnaa ki ronaa mushkil ho jaye...
Kisiko chaahna achhi baat hain,
Magar chaaho itnaa ki bhulaana mushkil ho jaye.

Kitni jaldi yeh shaam guzar jaati hain,
Pyaas bhujti nahin aur barsaat guzar jaati hain...
Apni yaadon se keh do ki yun hume sataaya naa kare,
Neend aati nahin aur raat guzar jaati hain.

Tanhaaii se nahin, mehfil se dartaa hoon,
Duniyaa se nahin, khud se dartaa hoon...
Yun to bahut kuch khoya hain humne,
Par naa jaane kyun tumhe khone se dartaa hoon.

Nadiyon ke kinaare chooth jaate hain,
Aasmaan se taare toot jaate hain...
Zindagi ki raah mein aksar aisa hota hain,
Jinhe hum chaahte hain wahi rooth jaate hain.

Woh aate to hain magar tan se nahin,
Baithte to hain magar man se nahin...
Kaun kegta hain woh pyaar nahin karte,
Karte to hain magar humse nahin.

Ek din humare aansu humse pooch baithe,
Hume roz roz kyun bulaate ho...
Humne kaha...
Hum yaad unhe karte hain,
Tum kyo chale aate ho.

Kalam uthai hain lafz nahin milta,
Jisko dhoondhte hain woh shaks nahin milta...
Ghoomte hain woh zamaane ki talaash mein,
Bas humaare liye hi unhe waqt nahin milta.

Paane se khone ka mazaa aur hain,
Band aankhon se dekhne ka mazaa aur hain...
Aansu bane lafz aur lafz gazal,
Teri yaadon ke saath jeene ka mazaa aur hain.

Ishq kiya tujhse mere aitbaar hi hadd thi,
Ishq mein de di jaan mere pyaar ki hadd thi...
Marne ke baad bhi khuli ti aankhein,
Yeh mere intezaar ki hadd thi.

Mohabbat ke kuch aise armaan bhi armaan hote hain...
Jaagti aankhon mein bhi khwaab hote hain.
Kaun kehta hain ki gum mein hi aansu nikalte hain...
In muskaraati aankhon mein bhi sailaab hote hain.

Log apno ki baat karte hain...
Humne gairon ko bhi aazmaaya hain.
Log to kaanton se bach ke nikalte hain...
Humne to phoolon se zakhm khaya hain.

Agar karni thi bewafai to pehle bata dete...
Duniya badi haseen thi...
Hum kisi aur se dil laga lete.

Phool khilna chaahta hain...
Kali khilne nahin deti.
Dil milna chaahta hain...
Kismat milne nahin deti.

Khwab ke aashiyan par bijli gira di...
Meri hasraton ko khakh mein mila di.
Usi bewafa ne wafa ki kadr naa ki...
Jiske pyar mein humne hasti mita di.

Ki log pyaar kyu karte hain kisi ko...
Jab woh us pyaar ko nibha nahin sakte.
Kyu thamte hain wo hath apne hatho mein...
Jin hatho ko sari umr tham nahin sakte.

Jab bhi koi rishta kabhi tutata hain...
Pyar se thama koi hath jab chutata hain.
Dil mera tujhe karke yad hota hain udas...
Aur mujhse fir woh ek sawal puchta hain.

Dard se dosti ho gai dosto...
Zindgi bedard ho gai dosto.
Aur kya hua jo jal gaya ashiyana humara...
Dur talak roshni ho gayi dosto.

Har khamosi ka matlab inkar nahin hota...
Har nakamiabi ka matlab har nahin hota.
Kya hua hum unko pa naa sake...
Sirf pane ka matlab hi to pyar nahin hota.

Aankhon mein aansu aa jaate hain,
Phir bhi labho pe hasi rakhni padti hain...
Yeh mohabbat bhi kya cheej hain yaaron,
Jinse karte hain unse hi chupaani padti hain.




Fir ayi hai yaad...




Fir ayi hai yaad lie bujhi shammaon ki roshni...
Palkon par bikhre hue khwabon ki chandni.

Kuch sukhe hue phulon ki bikhri hui khushboo...
Kuch tute hue taron ka faila hua jadoo.

Tanha se is sahar me tanha si shaam par...
Tanha si jindagi ke is tanha makaam par.

Khoi hui manjil ki chahat ka nasha lekar...
Khoe hue ghar ki rahon ka pata lekar...

Fir ayi hai yaad lie bujhi shammaon ki roshni...
Palkon par bikhre hue khwabon ki chandni.




Dost dil ke kareeb hote hai...




Jo tahreer likhi dil pe ankhon se koi pad le...
Bin bole hi koi har bat meri sun le.

Yeh khwab bhi yaron kitne ajeeb hote hain...
Wo jinko hasil hai kurbat teri...
Wo bade khushnaseib hote hain.

Hum jise chahe use pa hi lein...
Aise kaha sabke naseeb hote hain.

Pas hon ya ki door hote hain...
DOST DIL ke KAREEB hote hain.




Lamha lamha




Lamha lamha bheed me tanha raha...
Dil mein awajon ka ek daria raha.

Khol kar par li to thi parwaz par...
Lautkar wapas zamin par aa raha.

Tha shab ka nazara roz sa...
Door koi tara tutta sa laga.

Pyar lahron ka kinare ke lie...
Pattharon par sar patak lautta raha.

The safar me saath-saath chalte hue...
Phaslon ka beech me sahra raha.

Pyar ki shiddat bayan hai ankhon se aj bhi...
Hothon pe khamoshi ka bada pahra raha.




Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi...




Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaon ki jaza milti rahi.
Cherd kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha 'Rahat' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.




Tum ko dekha to yeh khayaal aya...




Tum ko dekha to yeh khayaal aya...
Zindagi dhoop, tum ghana saaya.

Aaj phir dil ne ik tamannaa ki...
Aaj phir dil ko hum ne samajhaya.

Tum chale jaoge to sochenge...
Hum ne kya khoya, hum ne kya paya.

Hum jise gunguna nahin sakte...
Waqt ne aisa geet kyun gaya.

Tum ko dekha to yeh khayal aya...
Zindagi dhoop tum ghana saaya.




Itna toota hoon...




Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga...
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.

Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo...
Main to banjara hoon, kya jane kidhar jaunga.

Har taraf dhund hai, jugnu hai na chirag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaunga.

Zindagi, main bhi musafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh se kahegi main utar jaunga.

Phool rah jayenge guldaan mein yado ki nazar,
Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaunga.

Itna toota hoon ki chune se bikhar jaunga...
Ab agar aur dua doge to mar jaunga.




Ibaadat




Pyaar ke naam par hum nijaarat nahin karte...
Dil toot bhi jaye to shikayat nahin karte.
Bharosa hain khud par, wahi sawanrega zindagi...
Tumhari tarah dikhawe ki ibadat nahin karte.

Yaad ayi hogi, jab shaam hui hogi...
Kuch pal ko hi sahi tu pareshan hui hogi.
Yaad ayi hogi jab mere pyaar ki baatein...
Nazarein jhuka kare tu pareshan hui hogi.

Meri aashiqui dard ki kahani ban gayi...
Aur zindagi gum ki nishani ban gayi.
Main tere pyaar mein itna badnaam hua hoon...
Ki ruswai ki pehchaan yeh jawaani ho gayi.

Toot kar reh gaya woh rishta ulfat ka...
Main nishaana ban gaya jahaan ki nafrat ka.
Mere saamne zikr wafaon ka naa kar dost...
Main thukraya hua hoon isi pyaar aur mohabbat ka.

Har ek simt andhera hain, raahein hain anjaan...
Sooni har pagdandi hain, manjil bhi hain veeran.
Tanha tanha chalta hoon, rota aur sisakta hoon...
Har dhadkan sooni hain, saans saans sunsaan.

Rishta ulfat ka yun nibhaya jaata hain...
Ashk peekar bhi muskaraya jata hain.
Aisa bhi modh aata hain mohabbat mein...
Kisi ke khaatir khud ko mitaaya jaata hain.

Ruswa is tarah naa yeh kahaani hoti...
Baat agar tumne humaari maani hoti.
Sapne bhi hote poore, zindagi bhi saj jaati...
Tere hontho par agar wafa ki kahaani hoti.

Wafaa fareb hain, aur chaahat ek dhokha...
Khudgarzi ke daur mein kaun kisi ka hota.
Kis dost par bharosa hum kare...
Choora ghop deta hain, milta jab use mauka.




Flirt Shayaries




Sehmi si nighaon mein hum khwab jaga denge,
Sooni si raahon mein phool hum bicha denge...
Humare sang muskara kar to dekhiye,
Aapka har gum hum bhla denge.

Koi aashiqui kehte hai,
Koi dillagi kehte hai...
Koi deewanagi kehte hai.
Par kin par hum marte hai...
Hum to unhe zindagi kehte hai.

Dil ki dhadkan dhadka gaya koi,
Mere khwabon ko mehka gaya koi...
Hum to anjaane raaston par chale the,
Achanak ki pyaar ka matlab sikha gaya koi.

Kamal ho tum naa gulaab ho tum,
Meri aankhon ka khwab ho tum...
Haath utha ke rab se jo sawaal kiya tha,
Un sab sawaalon ka jawaab ho tum.

Hoti nahin mohabbat soorat se,
Mohabbat to dil se hoti hai...
Soorat unki khud hi pyaari lagti hai,
Kadar kinje dil mein hoti hai.

Humne khuda se dua mangi,
Dua mein apni maut mangi...
Khuda ne kaha use kya doon,
Dua mein jisne teri lambi umar mangi.

Aankhon mein aahsu aa jaate hai,
Phir bhi labho pe hasi rakhni padti hai...
Yeh mohabbat bhi kya cheej hai yaaron,
Jinse karte hai unse hi chupaani padti hai.

Khusboo ki tarah apke paas bikhar jayenge,
Sokoon ban kar dil mein utar jayenge...
Mehsoos karne ki koshish karna,
Door hote hue bhi paas nazar ayenge.

Chand ke liye sitaare anek hai,
Lekin sitaaron ke liye chand ek hai...
Aapke liye to hazaaron honge,
Lekin humare liye to sirf aap hi ek hai.

Hum kabhi aapse khafa ho nahin sakte,
Yeh dil ke rishte bewafaa ho nahin sakte...
Aap bhale hi hume bhula ke so jao,
Aapko yaad kiye bina hum so nahin sakte.

Aankhon ki zabaan woh samajh nahin paate,
Honthon se hum bhi kuch keh nahin paate...
Apni bebasi hum kis tarah kahe,
Koi hai jiske bina hum reh nahin paate.

Yaad karte hain aapko tanhaai mein,
Dil dooba hai gumon ki gehraai mein...
Hume mat dhoondo duniyaa ki bheedh mein,
Hum milenge aapko apni parchaai mein.

Darte hai aag se, kahin hath na jal jaye,
Darte hai waqt se, kahin der na ho jaye...
Darte ha maut se, kahin hum bichad na jaye,
Darte hain aapse, kahin pyaar na ho jaye.

Sooraj chand sitaaron ne zia maangi hai...
Magar is dil ne sada tujhe paane ki dua maangi hai.
Tum meri kismat mein likh diye jao hamesha ke liye...
Jab bhi maangi hai rab se yehi dua maangi hai.

Tu phool hai gulaab ka...
Main aashiq tere shabaab ka.
Teri tasweer mere dil mein hai...
Kya fayeda tere nakaab ka.

Hume tumhe se mohabbat hai...
Beshaq imthaan le lo.
Chahe to dil le lo...
Chahe jaan le lo.

Jab safed sari par laal bindi lagaati ho...
To sach mein ambulance nazar aati ho.
Fark sirf itna hai...
Woh ghayalon ko leke jaati hai...
Tum ghayal kar ke jaati ho.

Kash bhagwan mujhse chhod dete kitaab bana kar...
Woh raat bhar hume padhte...
Aur phir so jaate seene se laga kar.




Friendship Messeges




Dosti ki tadap ko dikhaya nahin jaata,
Dil mein lagi aag ko bhujaata nahin jaata...
Kitni bhi door hoe dosti meri,
Aap jaise doston ko bhulaaya nahi jaata.

Door hote hue bhi dosti ka rishta nibhaate hai aap,
Naa jaane kyun dil ko lubhaate hai aap...
Yeh kaisa karishmaa hai aapka,
Jo humko itna yaad aate hai aap.

Har phool khushboodar nahin hota,
Har patthar chamakdaar nahin hota...
Dosti dekh kar karna mere dost,
Kyunki har dost humsa deedar nahin hota.

Jo cheej mang ke mile woh minnat hai...
Chah kar mile woh chahat hai...
Paas hai woh amaanat hai...
Dil se mile woh rehmat hai...
Pae aap jaisa koi dost mile woh kismat hai.

Dosti:
Kaho to do lafz.
Maano to Bandagi.
Socho to gehra sagar.
Doobo to zindagi.
Karo to aasan.
Nibhao to mushkil.
Bikhre to sara jahan.
Simte to sirf tum.

Sooraj chand sitaaron ne zia maangi hai...
Magar is dil ne sada tujhe paane ki dua maangi hai.
Tum meri kismat mein likh diye jao hamesha ke liye...
Jab bhi maangi hai rab se yehi dua maangi hai.




Yaad hai




Chupke chupke muskarana yaad hai...
Tujhse woh nazre milana yaad hai.

Meri aahat pe machalna dil ka aur...
Teri choodiyon ka khankhanana yaad hai.

Dekh ke mujhko simat jaana aur...
Tera zara sa muskarana yaad hai.

Meri har baat pe rooth jaana aur...
Tujhko manaana yaad hai.

Zindagi bhar sath goge tum mera...
Apna woh vaada puraana yaad hai.




Nahin milti




Dil ki sab khwahishein kabhi puri nahin hoti,
Har raah mil bhi jaye par manzil nahin milti,
Pyaar ho bhi jaye aapko kisi se agar,
Pyaar karne ki izazat sabko nahin milti.

Chahe jitni bhi karlo tum bhalai magar,
Marne se yahaan sabko jannat nahin milti,
Sagar ki boond se banta hai moti to kya,
Sagar ki har boond moti nahin banti.




Manzilein aur bhi hai




Har muqaam pe lagta hai ke manzilein aur bhi hai...
Rasta abhi baaki hai bahut ke manzilein aur bhi hai.

Saahil se takrakar laut jaati hai har leher...
Saahil uske aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai.

Dhal jaata hai suraj bhi har shaam...
Subah abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai.

Jindagi maana humne dhadkano ki mohtaaz hai...
Saanse abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai.




Ek baar aankhein mile ke dekhiye




Ishq ki baazi kabhi hum se lagaa ke dekhiye...
Ek baar to aankhein mila ke dekhiye.

Dhadkano ki is machalti ragini par ap bhi...
Dheeme dheeme gunguna ke dekhiye.

Ap ki aankhon mein yeh bechainiyan kiske liye...
Chhodiye bazm-e-jahaan ko hum pe cha ke dekhiye.

Intzaar-e-yaar mein jo luft hai...
Ap bhi luft utha ke dekhiye.

Husn-e-gul kaise nikharta hai batau kya bhala...
Bas meri aagosh mein samaa ke dekhiye.




Chand mera ru ba ru hai




Seep mein moti si aankhein...
Gaalon pe surkhi hayaa hai.
Honth tharrate ki hichki...
Dar ki boondo se chamakti.
Jaisa socha hu ba hua hai.

Aankhon mein uski ho jaise...
Khwaab mein koi deewana.
Dhun pe uski dhadkano ki...
Geet ho koi puraana.
Jwaar jaisa ek junoon hai...
Chand mera ru ba ru hai.




Aadat ho gayi




Bewafaai ki intehaa ho gayi...
Ki tujhse juda hokar bhi jeene ki aadat ho gayi.

Tum laut ke aoge humse milne...
Roz dil ko behlaane ki aadat ho gayi.

Tere waade pe kya bharosa kiya humne...
Tujhe intezaar karaane ki aadat ho gayi.

Khushi mein bhi hum kya muskarate rahe...
Teri judaai mein rone ki aadat ho gayi.

Kaafile nikal gaye hume chhod ke...
Ab to tanha safar ki aadat ho gayi.

Har modh par mili gum ki parchaii...
Zindagi se samjhauta karne ki aadat ho gayi.

Paiman-e-wafaa kya hai hume kya maloom...
Ki bewafaaon se dil lagaane ki aadat ho gayi.




Kya mujhe pyaar hai???




Kyun aajkal neend kam khwaab jyada hai...
Lagta khuda ka koi nek iraada hai.
Kal tha fakeer aaj dil shehzaada hai...
Lagta khuda ka koi nek iraada hai.
Kya mujhe pyaar hai ya...
Kaisa khumaar hai ya...
Kya mujhe pyaar hai.

Patthar ke in raston pe...
Phoolon ki ik chaadar hai.
Jab se mile ho hum ko...
Badla har ek mausam hai.
Dekho jahaan mein neele neele aasmaan tale...
Rang naye naye hai jaise ghulte huye.
Soye se khwab mere jaage tere waaste...
Tere khyalon se hai bheege mere raaste.
Kya mujhe pyaar hai ya...
Kaisa khumaar hai ya...
Kya mujhe pyaar hai.

Tum kyun chale aate ho...
Har roz in khwabon mein.
Chupke se aa bhi jao...
Ik din meri baanhon mein.
Tere hi sapne andheron mein ujaalon mein...
Koi nasha hai teri aankhon ke pyaalon mein.
Tu mere khwabon mein jawaabon mein sawaalon mein...
Har din chura tumhe main laata hoon khyalon mien.
Kya mujhe pyaar hai ya...
Kaisa khumaar hai ya...
Kya mujhe pyaar hai.




You are in love when....




When you are together with that special someone…
You pretend to ignore that person.
But when that special someone is not around...
You might look around to find them.
At that moment…
You are in love.

Although there is someone else who always make you laugh…
Your eyes and attention might go to that special someone.
Then…
You are in love.

If you are much excited for one short e-mail from that special someone...
Than many other long mails.
At that moment…
You are in love.

When you find your self as one who...
Cannot erase the messages in your answering machine...
Because of one message from that special someone.
At that moment…
You are in love.




Fanaa...




Tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaye...
Tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaye.

Rone de aaj humko...
Tu aankhein sujaane de...
Baanhone meine lele...
Aur khud ko bheeg jaane de.
Hai jo seene mein kaid dariya...
Woh choot jayega...
Hai itna dard...
Ki tera daaman bheeg jayega.

Adhoori saans thi...
Dhadkan adhoori thi...
Adhoore hum...
Magar ab chand poora hai falak pe...
Aur ab poore hai hum.

Ae khuda aaj yeh faisla kar de...
Use mera ya mujhe uska kar de.
Bahut dukh sahe hai maine...
Koi khusi ab to muqaddar kar de.
Bahut muskil lagta hai us se door rehna...
Judai ke safar ko kam kar de.
Jitni door chale gaye woh mujhse...
Use utna kareeb kar de.
Nahin likha agar naseeb mein uska naam...
To khatm kar yeh zindagi aur mujhe fanaa kar de.

Aankhein to pyaar mein dil ki zubaan hoti hai,
Sachhi chahat to bezubaan hoti hai.
Pyaar mein dard bhi mile to kya ghabraana...
Suna hai dard se chahat aur jawaan hoti hai.

Door humse reh paoge kaise...
Humko tum bhool paoge kaise...
Hum to woh khusboo hai jo saanson mein baste hai...
Khud ki saanson ko rok paoge kaise...

Bekhudi ki zindagi hum jiya nahin karte,
Jaam cheen kar hum piya nahin karte.
Unhe mohabbat hai to aake ijhaar kare...
Peecha yun kisi ka hum kiya nahin karte.

Phool hoon gulaab ka...
Chameli ka na samajhna.
Aashiq hoon aapka...
Apni saheli ka na samajhna.




Kyun???




Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki waje hoti hein,
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjana padta hai,
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota,
Kyun sabko ye manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai ye keh nahin pata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai.




Kya tumhe hai khabar




Pyar mein rang kar tere, cchai hai bahar,
Ke holi bhi mange, mujhse rang udhar,
Kaisa hai cchaya nasha, kaisa hai chadha rang,
Na hum hein bheege, na humne pee hai bhang.

Janaza nikla armaano ka, to mar se gaye hum,
Phir bhi hein zinda, shayad baaki hai sehna kuch gham.

Kya tumhein hai khabar, deewane hein iss kadar,
Tumse hi hoti shyam, tumse hi ho sahar,
Khayalon mein bhi tu, tu hi aaye nazar,
Teri har ada ne kiya, jaane dil pe kya asar,
Tere ishq mein tadpein itna, ke mar bhi jayein agar,
Bas yahi gham rahega, kya tumhein thi khabar.

Kuch purani yaadon ke sukhe patte bikhre pade hein zindagi ki cchaon mein,
Intezaar hai uss hawa ka jo aakar ise uda le jaaye.

Aapki naadaniyon par har baar hum chup rahe hein,
Chaha bolna iss baar to aadat se apni majboor huwe hein,
Ab sochte hein ki aapki ghaltiyon ko aapki aadat samjhenge,
Aur iss baar ki tarah har baar chup rahenge.

Hum karte gaye maaf aur aap bhulte gaye apni khata,
Ab kehto ho ki tumari hi galti tum hi bewafa.




Mohabbat ho tum




Mere dil mein basi hararat ho tum,
Meri aankhon ko mili shararat ho tum,
Dekhun tumhein to paalun mein duniya,
Na milo to milne ki baghavat ho tum,
Tumhari khamoshi keh jaati hai kai baatein,
Jise yaad karta hai dil kai raatein,
Tumhare nanhe nanhe se haath aur badi badi baatein,
Yaad reh jaati hein tumse hui sab mulakatein,
Ummeed ho hamari aanewala kal ho tum,
Hamare dilon mein basi mohabbat ho tum.




Sad Shayaries




Mohabbat mujhe thi unse itni,
Unki yaadon mein dil tadapta raha...
Maut bhi meri chahat ko rok na saki,
Kabr mein bhi dil dhadakta raha.

Dil ke dard ko lafzon mein dhaala na gaya,
Gum ke aansuon ko aankhon se nikaala na gaya...
Usne mujhe dard is liye diya,
Kyunki usse mera pyaar sambhala na gaya.

Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha, use hum pa na sake...
Yeh samajh lo dil tootna khel hai,
Kisi ka todkar apna bhi bacha na sake.

Ishq karnewale aankhon ki baat samajh lete hai,
Sapno mein woh mil jaye to mulakaat samajh lete hai...
Rota to aasmaan bhi hai pyaar ke liye,
Par log use barsaat samajh lete hai.

Woh keh gaye humse ki woh ab hume sapno mein hi milne aayenge...
Koi jaa kar keh de unhe...
Woh aane ka waada to kare,
Hum hamesha ke liye so jayenge.

Nasha hum karte hai, ilzaam sharaab ko diya jaata hai...
Par isme kasoor sharaab ka nahi...
Kasoor to unka hai jinka chehra hume har jaam mein nazar aata hai.

Jiyo itna ki marna mushkil ho jaye,
Haso itna ki rona mushkil ho jaye...
Kisiko chahna achhi baat hai,
Magar chaho itna ki bhulaana mushkil ho jaye.

Kitni jaldi yeh shaam guzar jaati hai,
Pyaas bhujti nahin aur barsaat guzar jaati hai...
Apni yaadon se keh do ki yun hume sataya na kare,
Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai.

Tanhaii se nahi mehfil se darta hoon,
Duniya se nahin khud se darta hoon...
Yun to bahut kuch khoya hai humne,
Par na jaane kyun tumhe khone se darta hoon.

Nadiyon ke kinaare chooth jaate hai,
Aasmaan se taare toot jaate hai...
Zindagi ki raah mein aksar aisa hota hai,
Jinhe hum chahte hai wahi rooth jaate hai.

Woh aate to hai magar tan se nahin,
Baithte to hai magar man se nahin...
Kaun kegta hai woh pyaar nahin karte,
Karte to hai magar humse nahin.

Ek din humare aansu humse pooch baithe,
Hume roz roz kyun bulaate ho...
Humne kaha...
Hum yaad unhe karte hai,
Tum kyo chale aate ho.

Kalam uthai hai lafz nahin milta,
Jisko dhoondhte hai woh shaks nahin milta...
Ghoomte hai woh zamaane ki talaash mein,
Bas humaare liye hi unhe waqt nahin milta.

Paane se khone ka mazaa aur hai,
Band aankhon se dekhne ka mazaa aur hai...
Aansu bane lafz aur lafz gazal,
Teri yaadon ke saath jeene ka mazaa aur hai.

Ishq kiya tujhse mere aitbaar hi hadd thi,
Ishq mein de di jaan mere pyaar ki hadd thi...
Marne ke baad bhi khuli ti aankhein,
Yeh mere intezaar ki hadd thi.

Mohabbat ke kuch aise armaan bhi armaan hote hai...
Jaagti aankhon mein bhi khwaab hote hai.
Kaun kehta hai ki gum mein hi aansu nikalte hai...
In muskaraati aankhon mein bhi sailaab hote hai.

Log apno ki baat karte hai...
Humne gairon ko bhi aazmaaya hai.
Log to kaanton se bach ke nikalte hai...
Humne to phoolon se zakhm khaya hai.

Agar karni thi bewafaai to pehle bata dete...
Duniya badi haseen thi...
Hum kisi aur se dil laga lete.

Phool khilna chahta hai...
Kali khilne nahin deti.
Dil milna chahta hai...
Kismat milne nahin deti.




Main diya hoon toote mazaar ka




Main diya hoon toote mazaar ka,
Sar shaam kisne jala diya...
Teri berukhi adaaon ne,
Mujhe zarra zarra bana diya.

Nayi manjilon par pahuch kar bhi,
Yehi sochta hoon ki kis tarah...
Kin raaston pe mile the,
Kin raaston ne bichdaa diya.

Yeh to apna apna naseeb hai,
Koi mil sake ya na mil sake...
Na ho gum jyada dil meherbaan,
Phir kyo hawa ko bula diya.

Mere harsato ke mazaar par,
Tere sainkado se sawaal hai...
Tujhe rok kar itna bataenge,
Yaha kisne kis ko bhula diya.




Aapse kabhi na mil paye hum




Aapse kabhi mil na paye hum,
Phir bichadne ka dar kaisa...
Meri har dhadkan mein aap ho shamil,
Phir apki judaai ka gum kaisa.

Deedar-e-yaar ke khatir jee rahe hai hum,
Unki talaash hai ab har taraf...
Umr-e-tamaam kisi ke naam kar di humne,
Ab maut se bhi phir ghabrana kaisa.

Apki yaad yun zindagi ko mehka de,
Bahaar bankar fiza mein rang bhar de...
Sawaanra hai apne mujhe is kadar,
Ki patjhad se bhi ab nazre churana kaisa.

Sitaaron ki mehfil saji thi har taraf,
Phir bhi roshni ko taras gaye...
Mehtaab jo ban gaye aap zindagi ke,
Ab andheron ka humse naata kaisa.

Khuda se jo mangi humne duaein,
Kabool kiya unhone humari mohabbat ko...
Zamaana hume ab bad dua de bhi to kya,
Hume ab zamaane se gila kaisa.




Dosti ke naam par




Dosti ko maat mat kar dosti ke naam par...
Is tarah ki baat mat kar dosti ke naam par...

Agar bharosa uth aya hai haath mera chhod de...
Talkh yun jazbaat mat kar dosti ke naam par...

Mujh pe pehle hi zamaane bhar ke hai ehsaan bahut...
Aur ehsaanaat mat kar dosti ke naam par...

Dosti se hi yakin apna na uth jaye kahin...
Paida woh halat mat kar dosti ke naam par...

Mujh se koi baat kar khoti khari achhi buri...
Ha magar kuch baat mat kar dosti ke naam par...

Dosti ehsaas hai ehsaas rehne de use...
Behs yun din raat mat kar dosti ke naam par...




Meri dhadkan




Meri dhadkan se dil ka dhadakna mangogi...
Ek din tum mujhse mera pyaar udhaar mangogi...

Main woh phool hoon jo tere chaman se na niklega...
Apni veeraan zindagi ke liye bahaar udhaar mangogi...

Farsh ta arsh aur abad sab dekhenge mazar...
Beete huye lamho ka azaab mangogi...

Abhi dekha hi kahan tumne meri mohabbat ka asar...
Tum mujhe ulfat mein apni sham-o-sahar mangogi...

Behtar hai waqt se samjhauta kar lo...
Guzre waqt se phir kaise apna hisaab mangogi...




Izazat de do




Khud ko is dil mein basaane ki izazat de do...
Mujhko tum apna banaane ki izazat de do...

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho...
Phooleon se khud ko sajaane ki izazat de do...

Main kitna chahta hoon tujhe, kis tarah batau tujh ko...
Mujhe yeh aap bataane ki izazat de do...

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chehra...
Mujhe yeh shaam sajaane ki izazat de do...

Mujhe kaid kar lo apne ishq mein jaanam...
Yeh jaan tumpe lutaane ki izazat de do...

Nahin hai shauk mujh ko bhulne ka magar...
Mujhe yeh duniya bhulaane ki izazat de do...




Main tumhe yaad bhi aaya ki nahin




Main tumhe yaad bhi aaya ki nahin...
Sheher se door safar karte hue,
Raah chalte ya kahin baith kar sustaate hue,
Ate jate hue, be wajah kahin rukte hue,
Seediyan chadte hue, zulfon ko suljhaate hue,
Ghar mein aye kisi mehman ki tawazo karte hue,
Chaye girte hue, haathon se pyaali girte hue...

Main tumhe yaad bhi aaya ki nahin...
Ghoomte phirte hue, long driving karte hue,
Choodiyan lete hue, shopping karte hue,
Ghar se jaate hue ya shaam ko aate hue,
Bekhyali mein kisi khyal mein khote hue,
Duniya daari se bahut door nikal jate hue...

Main tumhe yaad bhi aahya ki nahin...
Pichle do char jo din guzre hain,
Kya kahun kitne kathin guzre hai,
Intzaar itna kiya hai ki saddi ho jaise,
Bebasi apne mukaddar mein likhi ho jaise...




Chaaha to bahut




Chaha to bahut lekin woh mila hi nahin...
Laakh koshish ki magar yeh faasla mita nahin...

Is zamaane ne majboor hi is kadar kiya tha mujhe...
Ki meri kisi sada par woh thehre hi nahin...

Khuda se jholi phehla kar manga tha use...
Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin...

Har ek se sabab pucha tere na milne ka...
Har ek ne kaha woh tere liye bana hi nahin...

Main apni tamaam koshish ke bawajood tujhe haar gaya...
Aur tu use mil gaya jisne tujhe manga hi nahin...

Itni shiddat se chaha magar tu kisi aur ka ho gaya...
Shayad is jahaan mein wafa ka koi sila nahin...




Judaai




Socha tha hawa ka rukh badal gaya,
Ho na ho meri juadaai ne tumhe badal diya.

Mehekne lagi thi meri tanhaiyan,
Chalakne lagi thi mujhpar tere pyaar ki parchaiyan.

Lekin rukh badalti hawa toofan saath layegi,
Judai ke baad ka yeh milan humare pyaar ki sachhayi batayegi.

Sheeshe se bane dil ko dard ne chur chur kar diya,
Fir nafrat ne chingarion ne dil ko patthar bhi kar diya.

Maine jo mohabbat mein tumhe dil diya,
Thukra kar tumne mujh ko bewafaa keh diya.

Bewafaai karna jaanta to is kadar mohabbat karte na hum,
Yaadon ko seene se lagaaye roz roz marte na hum.

Na jaane kaun se jhoka tha jo itna behka gaya,
Yeh kaun si mohabbat thi jis mein tinka bhar aitbaar reh gaya.

Shak ke dayere mein jo phool khilte hai,
Unse mehek nahi aati, unse bas kaantein chubhte hai.

Jaane se pehle mud kar dekh leti ek baar,
Mujhe marta chood gaye katil ko dekh leti ke baar.

Mujhe bewafaa kitni asaani se keh gaye,
Mujhe zindagi keh kar meri zindagi le gaye.




Tanhaai




Jahaan mein nahin ek tu tanhaan, tanhaa aur bhi hai,
Abhi manzilein aur bhi hai, kaarwan aur bhi hai.

Jo rah-e-ishq mein sath chalne ki khayi thi kasam,
Abhi mushkilein aur bhi hai, kehkashaan aur bhi hai.

Sukoon-e-raah karti hai har pal ka tazkirah,
Abhi istefsaar aur bhi hai, khamoshiyan aur bhi hai.

Ae dil na ghabra jahaan mein bheedh-e-tanhaee se,
Abhi dasht aur bhi hai, viraaniyan aur bhi hai.

Bayaan-e-rakeeb ka zara bhi aitbaar na karna,
abhi afwaayein aur bhi hai, gumaan aur bhi hai.

Hadd-e-nazar mein nahi manzil to hiraas kya,
Abhi nawrdee aur bhi hai, awaargiyan aur bhi hai.

Chalo kisi aur dar par chal kar sajda kare,
Abhi khuda aur bhi hai, yaazdaa aur bhi hai.

Hosh ka vaasta de mai se mahroom kiya saaki ne,
Abhi maikaada aur bhi hai, Sagar-o-meena aur bhi hai.

Dil-e-maftoon ko saja-e-maut ka ranj nahi koi,
Abhi huqm aye bhi hai, farmaan aur bhi hai.

Maut ko mukaabil dekh yun khush na,
Abhi gardish-e-duaraan aur bhi hai, tufaan aur bhi hai.




Likhna chahta hoon kya likhu




Kuch likhna chahta hoon...
Sochta hoon kya likhu.

Phoolon ki woh mehekti khushu,
Barish ka woh bheega paani,
Aur hawa mein thi jo rawaani,
Kya us mausam ka khumaar likhu???

Thi chehre par unki masoomiyat,
Aankhon mein thi thodi sharaarat,
Aur baaton mein woh nazaakat,
Kya unka rangeen mijaaj likhu???

Unka aakar muskarana,
Jo rooth jaun to manana,
Jaate jaate phir rulaana,
Kya unka yeh andaaz likhau???

Yaadon mein unki ashq bahaana,
Har shaam ek diya jalaana,
Soyi ummeed ko roz jagaana,
Kya unka yeh intzaar likhu???




Tum bhi dekho




Nazar jahan se bacha ke dekho...
Jo faaslein hai mita ke deko...
yeh zindagi muskara uthe gi...
Kisi ko apna bana ke dekho.

Tumhari chahat mein mit chale hum...
Kabhi to palke utha ke dekho...
Bana de shayar jo kisi ko...
Woh chot zara tum bhi kha ke dekho.

Koi bhi apna nahin jahaan mein...
Kisi ko bhi azmaa ke dekho...
Nikle ga sirf naam usi ka...
Jo taar dil ke hila ke dekho.

Aina hoon main mere saamne aake dekho...
Khud hi nazar aaoge jo aankh mila ke dkeho.

Mere gum mein meri takdeer nazar aati hai...
Dagmagaoge jo mera dard utha ke dekho.

Yun to asaan nazar aata hai manzil ka safar...
Kitna mushkil hai meri raah se jaa ke dekho.

Gil tumhaara hai, main yeh jaan bhi de du tum par...
Bas mere saath zara dil se nibha ke dekho.

Maut barhaq hai magar tumse vaada hai mera...
Laut aunga tum ik baar bula ke dekho.




Ahista ahista




Tere dil mein koi yun hi bas jaayega ahista ahista...
Humse aise milti rahi to rog-e-mohabbat lag jayega ahista ahista.

Abhi to bahaane se nazar jhukati ho is tarah...
Gira kar phit bahaane se nazar milaogi ahista ahista.

Ab beshak tum na socho humare baare mein magar dekhna...
Jo kabhi na socha, woh khyal bhi tere man mein ayega ahista ahista.

Aag kab bhadkegi tere dil ki, hume khabar nahin...
Suna hai shola bhi sulaghta hai der tak ahista ahista.

Intezaar hai hume us din ka, tum jab dogi awaaz...
Ab aa ja jaldi, aur hum kahenge ahista ahista.




Woh apne chehre mein




Woh apne chehre mein sau aftaab rakhte hai...
Is liye to woh rukh pe nakaab rakhte hai.

Woh paas baithe to aati hai khushbu...
Woh apne hontho pe khilta gulaab rakhte hai.

Har ek panne mein tum hi ho jaan-e-mohabbat...
Hum apne dil mein kuch aisi kitaab rakhte hai.

Jahaan-e-ishq mein tu kahin dikhayi de...
Hum apni aankhon mein kitne chenaab rakhte hai.




Jab aap muskaraate ho




Hasi phoolon ko aati hai...
Jab aap muskarate ho.
Humari duniya badal jaate hai...
Jab aap muskarate ho.
Aapki muskarahat ke aage bhala...
Kya hai chand ki raunak???
Khud chand bhi sharmaata hai...
Jab aap muskarate ho.




Bata ae dil deewane




Kabhi bechain rehta hai,
Kabhi betaab rehta hai...
Kabhi khud muskarata hai,
Kabhi aansu bahata hai...
Bata ae dil deewane,
Tu kise yaad karta hai...

Yeh saawan ka haseen mausam,
Barasta hai barasne de...
Kyun apni aarzu ko tu,
Chupata hai chalakne de...
Kabhi khamosh rehta hai,
Kabhi shikhwe sunaata hai...
Bata ae dil deewane,
Tu kise yaad karta hai...

Raha khud pe nahin kabu,
Yeh kaisi bekaraari hai...
Nazar sooni huyi meri,
Jigar mein bhi khumaari hai...
Kabhi saanson mein basta hai,
Kabhi jadoo jagaata hai...
Bata ae dil deewane,
Tu kise yaad karta hai...

Siva tere nahin koi,
Nahin koi nahin koi...
Huyi jab se mujhe chaahat,
Nigaah soyi nahin.
Kabhi aankhein bhigaata hai,
Kabhi sapne dikhaata hai.
Bata ae dil deewane,
Tu kise yaad karta hai...

Duayen de, wafayen de,
Na hum ko tu jafayen de...
Guzar jayenge hadd se hum,
Tu zulfon ki ghatayen de...
Kabhi kasme bhi khaata hai,
Kabhi phir bhool jata hai...
Bata ae dil deewane,
Yu kise yaad karta hai...




Mujhse mohabbat kar ke dekho




Dil ke dayere mein utar ke dekho,
Tum mohabbat humse kar ke dekho...
Phir tumhe meri talab ho jayegi,
Tum kabhi mujhse bichad ke dekho.

Ishq ka saagar bahut gehra hai,
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho...
Duniya phir lagne lagegi dilkash,
Ishko tum meri nazar se dekho.

Pyaar kehte hai kise zara tum,
Meri baanho mein bikhar ke dekho...
Mera gum mehsoos karna ho to,
Meri raahon se guzar ke dekho.

Kya asar hota hai berukhi ka,
Meri chahat se mukar ke dekho...
Jo mohabbat ne hai dekha tum bhi,
Unhi aankhon mein sawar ke dekho.




Zindagi...




Dilnashin zindagi, dilrubaa zindagi...
Bemurawat bhari, bewafaa zindagi...

Maine socha bahut fir bhi samjha nahin...
Maut se yeh tera silsila zindagi...

Aaj ki raat to jashn ki raat hai...
Khilkhila muskara gunguna zindagi...

Nafratein dushmani sarhadein dooriyan...
Aisi baaton mein rakhha hai kya zindagi...

Haat tera jo chootha to sab choot gaya...
Mujhse cheenegi ab aur kya zindagi...

Gum hi jinka mukaddar hai un ke liye...
Maun se bhi badi bad dua zindagi...

Yeh kahin to hai khushiyon ki barsaat si...
Hai kahin dard ki inthan zindagi...




Dil mein ek leher si uthi hai abhi...




Dil mein ek leher si uthi hai abhi...
Koi taaza hawa chali hai abhi...
Shor barpa hai khana-e-dil mein...
Koi deewar si giri hai abhi...
Bhari duniya mein jee nahi lagta...
Jane kis cheez ki kami hai abhi...
Kuch to nazuk mizaj hai hum bhi...
Aur kuch chot bhi nayi hai abhi...
Waqt achha bhi aayega dost...
Gam na kar zindagi padi hai abhi...




Maine bhi kisi se pyaar kiya tha...




Agar har chehre mein uska chehra nazar aata hain...
Agar har baaton par uska naam lete hain...
Agar ise pyaar kehte hain to haan...
Maine bhi kisi se pyaar kiya tha.

Agar kisi ke intzaar karne mein samay nahin dekhte...
Agar uske aane par dil jhoom uthta hain...
Agar ise pyaar kehte hain to haan...
Maine bhi kisi se pyaar kiya tha.

Agar kisi ke door jane ke baad unki yaad satati hain...
Agar sab ke saath rehte huye bhi akela mehsoos karti hain...
Agar ise pyaar kehte hain to haan...
Maine bhi kisi se pyaar kiya hai.

Khud mein khud baatein karna...
Har pyari se gaane par sirf hum dono ka nazar aana...
Agar ise pyaar kehte hain to haan...
Maine bhi kisi se pyaar kiya hai.

Agar uske dil mein pyaar ki koyi jagah nahin...
Phir bhi uske pyaar ka intzaar karna...
Agar ise pyaar kehte hain to haan...
Maine bhi kisi se pyaar kiya tha.




Toot jaate hai sabhi rishte magar...




Toot jaate hai sabhi rishte magar,
Dil se dil ka raabta apni jagah...
Dil ko hai na tujhse milne ka yakeen,
Tujhse milne ki dua apni jagah.

Mast nazron se dekh lena tha,
Agar tamanna thi aazmane ki...
Hum to behosh yun hi ho jaate,
Kya zaroorat thi muskarane ki.

Chehre pe banawat ka gussa,
Aankhon se chalakta pyaar bhi hai...
Is shauk-e-ada ko kya kahiye,
Inkar bhi hai ikraar bhi hai.

Kal mila waqt to zulfein teri suljha dunga,
Aj uljha hoon zara waqt ke sulajhne mein...
Yun to sulajh jati hai uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ke sulajhne mein.

Sukh jaate hai lab, lafz milte nahin,
Hota nahin humse ishq bayaan...
Unhe kaise batau dil ki lagi,
Kaise sikhau aankhon ki zubaan.

Apni aankhon ke samandar mein utar jaane de,
Tera mujrim hoon main, doob ke mar jaane de...
Zakhm kitne teri chahat se mile hai mujhko,
Sochta hoon kahu tujhe...
Magar jaane de.

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi,
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi...
Le gaya kaun cheen ke tera sabr-q-karaar,
Be-karaari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi.

Apne haathon se yun chehre ko chupate ho kyun,
Mujhse sharmate ho to saamne ate ho kyun...
Tum bhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa,
Pyaar karte ho to pyaar chupaate ho kyun...
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote ho kyun,
Dil bhar aaata hai to phir dil ko dukhate ho kyun...
Roj mar mar ke mujhe jeene ko kehte ho kyun,
Milne aate ho to phir laut ke jaate ho kyun.

Ret par likh ke mera naam mitaya na karo,
Aankhein sach bolti hain, pyaar chupaya na karo...
Log har baat ka afsaana bana lete hain,
Sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo.
Yeh zaroori nahin har shakhs masiha hi ho,
Pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo...
Shahar-e-ehsaas mein patharaav bahut hain,
Dil ko sheeshe ke jharokhon mein sajaaya na karo.




Friend Versus Best Friend




A Just Friend says.. hi.. hello.. bye... And walks away...
A Best friend always stop by your side and asks how are you doing??
A Just Friend has never seen you cry.
A Best friend has shoulders soggy from your tears.
A Just Friend thinks the friendship is over, when you have an argument.
A Best friend knows that it's not a friendship, until after you've had a fight.
A Just Friend hates it when you call, after he has gone to bed.
A Best friend asks you.... Why you took so long to call.
A Just Friend, when visiting, acts like a guest.
A Best friend opens your refrigerator and helps himself.
A Just Friend jealous about your romantic history.
A Best friend wonders of your love story.....
A Just Friend expects you to be always there for any help.
A Best friend is always there, wherever you require any help.
A Just Friend doesn't have time in his/her busy schedule,
A Best friend always have time for you in his/her busy schedules....
A Just Friend phones you whenever he/she has some work,
A Best friend calls you often just to hear your voice.....
A Just Friend doesnt have anything to talk to you on phone,
A Best friend doesnt know...what all to finish...
I am not the best,
But I am not like the rest




ABC of Friendship





A is for All the times you told me not to be scared.
B is for Being there because you really cared.
C is for Crying with me, because you knew I would.
D is for Daring me to try when I didn't think I could.
E is for Everything you've ever done for me.
F is for Failing to mention what I didn't see.
I is for Giggling with me when no one else was around.
H is for Helping me up when I fell to the ground.
I is for Intimate secrets we told when we were alone.
J is for Just sitting in silence over the phone.
K is for Kindness you never seem to run out of.
L is for Laughing with me when I did something dumb.
M is for My tears that you stopped from falling.
N is for Nasty things we said about the people we were calling.
O is for Only laughing when you knew I laughed too.
P is for Puddles thouroughly jumped into.
Q is for Quiet times we have shared.
R is for Running when I was Oh so scared.
S is for Standing by my side and helping me to believe.
T is for Taking my hand when I just wanted to leave.
U is for Unfolding your arms when I needed a hug.
V is for Verifying that it was just a dead bug.
W is for Waiting for me to tell you my worst fear.
X is for eXactly what I needed to hear.
Y is for Years gone by and friendships yet to be.
Z is for Zero times you weren't there for me.


No comments:

DesignWar art, design, photography, architecture, streetart, fashion, advertisement, cinema tv