Wednesday, January 16, 2008

Sharabi Shayari

1.
Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon,
Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon,
mujhko maaloom hai ishq ki haqeeqat lekin,
Hosh jab hadd se guzarti hai to pee letaa hoon!!


2.
kuch bhi bacha na kahne ko har baat ho gayi,
aao kahi sharab piye raat ho gayi;
naksha utha ke koi naya shahar dhoondhiye
ab to is shahar mai sabse mulakat ho gayi.


3.
Lufzoo mein fasaney dhundte hai hum log
lufzoo mein zamaney dhundtey hai hum log
to zair hi de sharab kehkar ay saqi
jeen ke bahaney dhundtey hai hum log


4.
Zindagi ke sawalon ka jawab dhoondta hoon,
dard ko kam kar sake wo sharab dhoondta hoon,
waqt ke haathon majboor ek shaksh hoon main,
jo jeene ka de bahana wo kitaab dhoondta hoon main.


5.
aaj kal teri har adaa har nazaakat yaad aati hai,
or apni jo sham chadhti hai to paimane me dubh jaati hai,
abh to isi ka sahaara reh gaya tere jaane ke baad,
magar ise bhi jo peata hun to aankhon se chhalak jaati hai,
behlaane ki koshish to ki dil ko maine bahut magar,
hardum hansta hun phirbhi udasi muh per jhalak aati hai,
abh to ek hee khushi ki aas rehgai iss{Gareeb}ke paas,
unke ik nazar dikhne se jo chehare per chha jaati hai,


6.
Sharab ko gale lagakar, zamane ko bhula diya,
Kuch der ke liye sahi, haskar jee liyaa!


7.
Ho Chuki Mulakaat Abhi Salaam Baaki Hai,
Tumhare Naam Ki Do Ghoont Sharaab Baki Hai,
Tumko Mubarak Ho Khushiyoon Ka Shamyaana,
Mere Naseeb Me Abhi Do Gaz Zameen Baki Hai,


8.
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai


9.
Jam pe jam pine se kya fayda,
Sham ko pi subah utar jayegi.
Arey do boond ishq ke pee le,
Zindagi saari nashe mein guzar jayegi.


10.
Nasha hum kiya karte hai,
ilzaam sharab ko diya jaata hai,
Kasoor sharab ka nahin,
Unka hai jinka chehra hume har jaam mein nazar aata hai.


11.
Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye
wo hi aa jaate hain yaad hamen rulane ke liye


12.
Jaam pe jaam peene se kya fayda,
Raat guzri to sari utar jayegi,
Peene hi hai to kisi ki aankho se piyo,
Khuda ki kasam sari umar hi nashe mein guzar jayegi.


13.
HAR TARAF KHAMOSHI KA SAAYA HAI
JISE DEKHO WAHI PARAYA HAI
GIR PADA HOON MOHABBAT KI BHOOK SE.
PAR LOG KEHETE HAI :"DEKHO PEEKAR AAYA HAI"......


14.
Ek Jaam Ulfat Ke Naam
Ek Jaam Dosti Ke Naam
Aadhi Botal Wafa Ke Naam ... aur...
Poori Botal Bewafa Ke Naam!!


15.
Mai Pilakar Aapka kya Jaayega,
Jaayega Imaan Jiska Jaayega,
Dekhkar Mujho Woh Sharmaa Jaayega,
Yeh Tamaasha Kisse Dekha Jaayega
Katl Ki jab usne di dhamki mujhe
KEhdiya Maine Ki Dekha jaayega
Pi bhi le, do ghunt sakhi pee bhi le,
maikade se kaun pyaasa jaayega.


16.
Koi Paaas aaya Sawere Sawere,
Mujhe Aazmaaya Sawere Sawere.
Meri Dastaan Ko Zaraa Sa BadalkAr,
Mujhe hi Sunaaya Sawere Sawere
woh jo kehta tha kal Shab, Sambhalna Sambhalna,
Wohi ladkhadyaa Sawere Sawere
Kati Raat Saari Meri Mekade me,
Khuda Yaad aata Sawere Sawere


17.
PEENE KI ADAT PILANE KI AADAT,
NAJRON SE NAIN MILANE KI AADAT,
NAIN MILAYE BHI TAU KAISE,
UNHE HAI NAIN JHUKANE KI AADAT.


18.
Jabse gaye hai door woh hamse, tanhai ka hai ye aalam
hum khud hi kabhi kabhi khud ko pukaar lete hain.
Dard-e-judai jab hadh se gujar jaaye,
apne gam ko yun hi pyale mein utaar lete hain.


19.
Kaash hame bhi koi samjhane vaala hota,
To aaj hum nasamajh naa hote...
Kaash koi pyaar ki pyali pilane waala hota,
To aaj hum sharaabi naa hote...
Kaash koi hum par jaan fida karne waala hota,
To aaj hum kaatil naa hote...
Kaash koi hamare saath ghar basanewala hota,
To aaj hum beghar naa hote...
Shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai,
Nahi to aaj hum shaayar naa hote...!!


20.
Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain,
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke ab har lamhe hi azaab lagte hain!!!


21.
mat pooch yaar ke kitni pi hai hamne..
teri aankhon ki suroi mein zindgi dubo di hai hamne,
ab kanch ke pyalo se hame kya lena..
tere hontho se pine ki kasam kha li hai hamne.


22.
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahin karte
Jaam dusro se cheen kar hum piya nahin karte
Unko mohabbat hai to aa kar izhaar karein
Pichaa hum kisi ka kiya nahin karte


23.
Youn Badi Der Se Paimaana Liye Betha Hu,
Koi Dekhe To Ye Samjhe K Piye Betha Hu....
Zindagi Bhar K Liye Ruth K Jaane Wale,
Mein Abhi Tak Teri Tasveer Liye Betha Hu....


24.
Apne gamon ko sharab mein dubone chala tha,
Mujhe kya khabar thee, ki ghamon ko bhi tairna aata hai!!


25.
zakhm sah letey hain..honthon ko see letey hain
zindagi jaisi bhi dey ...usey khushi se jee letey hain
tu hamein apney hathon sey pila na pila aey saaki
peeney waley to teri ankhon sey peee letey hain!


26.
Sharab gamon ko dubati agar to jahan ek maikhana hota
Ek tumhi to dukhi nahi ho har dil sharab ka pyasa hota



Rok Do Mere Jaanaje Ko
Mujme Jaan Aa Gai Hai,
Aare Salo Piche Mud Ke To Dekho
Daaru Ki Dukan Aa Gai Hai......!

WO PAAKHANE ME BAITHE THE
MAIKHANA SAMAJHKAR
LOTE KA PAANI PE GAYE
JANAB PAIMANA SAMAJHKAR.

Sharab Samaj ki ek dushman hai,
Aao milke kasam khaye,
Is dushman ko khatam karen
ek botal tum khatam karo,
ek botal hum khatam karen...


Aashiq se na puchho tum peene ka majaa
Jaam pe jaam chala to aaya jeene ka majaa
hum to aisey hi kah baithey hain yah yaroon
Khud hi jaam lekar dekho peeney ka majaa...........





Devdas” ko “paaro” ne nakam kar diya
Sharabi” ko “sharab” ne badnam kar diya
Mahobbat” ho ya “sharab”, dono ka asar dekh lo
Devdas” aur “sharabi” ka, eksa “anjaam” kar diya…………………


Bahut peete the hum
Mahobbat ne kasam dilaake chhudaadi
Bahut peete the hum
Usne kasam dilaake chhudaadi
Yaaron ke sang baitthe the
Mahobb at ki kasam dilaake pilaadi


Pilaana farz tha to kuch bhi pila diya hota
Sharaab kam tha to paani mila diya hota
Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha
To muskura kar sar hi hila diya hota


Maikhane saje the,Jam ka tha daur
Jam me kya tha ye kisne kiya tha gaur
Jam me gum tha mere armano ka
Aur sab kahe rahe the ek Aur, ek Aur


Maikhane mein baithe hai peene ek
Jaam tere naam ka teri aahosh mein
Jo peene lage,toh phir hisaab hee na
Raha shaam ka,kehte hai humme sharabi log
hum kehte hai,sharab bina maikhana
Aur sajni bina sajan,na kisi kaam ka………..


Log peete hai sharab mehkhane ja ja kar
pee hai jo do pal mein utar jayegi
humne to pee hai apne mehboob ki
Aankho se,jo umar bhar naa utar payegi……


Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi.
Aisa duba teri aakho ki gehrai main,
Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.

Tapak rahi hai sharaab ki bondein paani ki tarah…
Dil bhar gaya hai mera dard ke samandar ki tarah…
chaah kar bhi nahi bhula pate tujhe hum…
Teri yaadon ke sahare ruk nahi sakte peene se hum…

Khuda ne sharaab jo banai peene ke liye
To piya kyun na jaye,duniya banai jeene ke liye
To jiya kyun na jaye,mahobbat ne diya mauka
shayari karne ka………………………….
To phir shayari kari kyun na jaye…………

Nasha-e-nazro ki shokhiyan jab chalti
Hai Kya halat hoti hai dil ki,
Kar lo nashaa-e-muhabbat,
kya zaroorat hai sharab-e-jaam peene ki……

Chalikaaye jaa Aankhon Se Sharaab Aur Ziada,Allah Kare Badhe Tera
Shabaab Aur Ziada,Khilte rahe honthon ke,Gulaab Aur Ziada………

Maikhana badalne se,na badle sharaab,Nasha
Na ho to shaqiii kharaab,Jab kaddam badhh hi
Gaye mehkhane ki taraff aye dost pyaare to
Dubbo de gam-e-zindege ke aaj yahan gum saare…………………

Saqii Bus To Itna Sa Kaam-kar,
Ye Sare Ilzaam Mere Naam-kar..
1-2 Paimane Se Mera Kya Hoga,
Sara Maikhana Mere Naam-kar

7 comments:

muzicofindia said...

if you want to lyrics songs so visit to my blog.
www.muzicofindia.wordpress.com

habeeb said...

nice shayri
u r really "AASHIQ"

mishie said...

can i please use this poetry??....plzzz

mishie said...

wow man am i in love aur wat!!! i luv the 5th one<3

ahmed said...

wah wah kiya baat hai maza aa gay....manna pareyga yaaar aisehi likhte raho ye dua hai hamari..
mur bhi jao agur tum,tumhara kalum likhay shayari ye dua hai hamari....tata bye bye

ahmed said...

tata bye bye

vicky mishra said...

bewafa sanam

DesignWar art, design, photography, architecture, streetart, fashion, advertisement, cinema tv